marhale aise bhi aksar aae
marhale aise bhī aksar aa.e
phuul barsā.e to patthar aa.e
ik faqat aap ke ho jaane se
kitne ilzām mere sar aa.e
jaam Thukrā diye jab bhī maiñ ne
sāmne mere samundar aa.e
ek chehre pe bashārat na milī
an-ginat chehroñ ko paḌh kar aa.e
bhuul jaate haiñ parinde maañ ko
jab bhī uḌne ko zarā par aa.e
aap kā shahr ki thā shahr-e-adab
be-adab is meñ bhī kuchh dar aa.e
ishq meñ 'tāj' kashish ho aisī
ḳhud hī mahbūb taḌap kar aa.e
marhale aise bhi aksar aae
phul barsae to patthar aae
ek faqat aap ke ho jaane se
kitne ilzam mere sar aae
jam Thukra diye jab bhi main ne
samne mere samundar aae
ek chehre pe bashaarat na mili
an-ginat chehron ko paDh kar aae
bhul jate hain parinde man ko
jab bhi uDne ko zara par aae
aap ka shahr ki tha shahr-e-adab
be-adab is mein bhi kuchh dar aae
ishq mein 'taj' kashish ho aisi
KHud hi mahbub taDap kar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.