marhale jis mein bahut hashr-nishan guzre hain
marhale jis mein bahut hashr-nishan guzre hain
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
marhale jis meñ bahut hashr-nishāñ guzre haiñ
us rah-e-shauq se ham raqs-kunāñ guzre haiñ
jin maqāmāt-e-junūñ se thā guzarnā mushkil
ham unhī se sifat-e-sail-e-ravāñ guzre haiñ
ye damakte hue zarrāt pata dete haiñ
is taraf se vo kabhī nūr-fishāñ guzre haiñ
jo bhī guzre haiñ tirī yaad se ġhāfil rah kar
zindagī meñ vahī lamhāt garāñ guzre haiñ
tishnagī zauq-e-nazāra kī vahī hai ki jo thī
yuuñ nazar se ka.ī rangīn samāñ guzre haiñ
'manshā' apnā hī jigar hai ki rah-e-zīst se yuuñ
be-hijābāna ba-sad azm-e-javāñ guzre haiñ
marhale jis mein bahut hashr-nishan guzre hain
us rah-e-shauq se hum raqs-kunan guzre hain
jin maqamat-e-junun se tha guzarna mushkil
hum unhi se sifat-e-sail-e-rawan guzre hain
ye damakte hue zarraat pata dete hain
is taraf se wo kabhi nur-fishan guzre hain
jo bhi guzre hain teri yaad se ghafil rah kar
zindagi mein wahi lamhat garan guzre hain
tishnagi zauq-e-nazara ki wahi hai ki jo thi
yun nazar se kai rangin saman guzre hain
'mansha' apna hi jigar hai ki rah-e-zist se yun
be-hijabana ba-sad azm-e-jawan guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.