marham nadamaton ka liye bad-hawas main
marham nadāmatoñ kā liye bad-havās maiñ
ik zaḳhm-e-be-hisī ke rahā ās-pās maiñ
dekhā jo chāñd chāñd ke dāġhoñ meñ kho gayā
tere mizāj se huā jab rū-shanās maiñ
merī kitāb-e-ishq meñ kartā hai kyā talāsh
dībācha-e-zavāl kā huuñ iqtibās maiñ
maiñ kyā mirā vajūd kyā merī hayāt kyā
duniyā-e-be-sabāt kā ḳhālī gilās maiñ
merī hujūm-e-ġham se ḳhalāsī na ho sakī
ġham kā libās dil hai to dil kā libās maiñ
mere bahut qarīb thī tāroñ kī anjuman
phir bhī kisī nigāh ko aaya na raas maiñ
kyūñkar lage ho merā nasheman sañvārne
'irfān' tum ho ḳhushk to bhīgī kapās maiñ
marham nadamaton ka liye bad-hawas main
ek zaKHm-e-be-hisi ke raha aas-pas main
dekha jo chand chand ke daghon mein kho gaya
tere mizaj se hua jab ru-shanas main
meri kitab-e-ishq mein karta hai kya talash
dibacha-e-zawal ka hun iqtibas main
main kya mera wajud kya meri hayat kya
duniya-e-be-sabaat ka KHali gilas main
meri hujum-e-gham se KHalasi na ho saki
gham ka libas dil hai to dil ka libas main
mere bahut qarib thi taron ki anjuman
phir bhi kisi nigah ko aaya na ras main
kyunkar lage ho mera nasheman sanwarne
'irfan' tum ho KHushk to bhigi kapas main
- Book : حاشیےمیں نیکیاں (Pg. 58)
- Author : عرفانؔ شاہ نوری
- Publication : الفاظ پبلی کیشن، کامٹی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.