mariz-e-ishq ka bahut ajib haal ho gaya
marīz-e-ishq kā bahut ajiib haal ho gayā
ajiib haal ho gayā to phir visāl ho gayā
vo kah rahā thā zindagī guzārnā muhāl hai
vo ab ye kah rahā hai yaar kyā kamāl ho gayā
maiñ shiddat-e-bayān se nikal sakūñ to phir kahūñ
ye merā lahja-e-sukūt be-misāl ho gayā
bahut huā to ye huā fareb-e-ārzū yahāñ
talab ke aa.ine pe aks-e-pur-jamāl ho gayā
hai aaj bhī vo muntazir tirī nigāh-e-nāz kā
jo sabza tere rāste meñ pā.emāl ho gayā
maiñ dāman-e-tahī se tum ko yaad karne baiThī jab
ḳhazāna-e-ḳhayāl merā mālā-māl ho gayā
mariz-e-ishq ka bahut ajib haal ho gaya
ajib haal ho gaya to phir visal ho gaya
wo kah raha tha zindagi guzarna muhaal hai
wo ab ye kah raha hai yar kya kamal ho gaya
main shiddat-e-bayan se nikal sakun to phir kahun
ye mera lahja-e-sukut be-misal ho gaya
bahut hua to ye hua fareb-e-arzu yahan
talab ke aaine pe aks-e-pur-jamal ho gaya
hai aaj bhi wo muntazir teri nigah-e-naz ka
jo sabza tere raste mein paemal ho gaya
main daman-e-tahi se tum ko yaad karne baiThi jab
KHazana-e-KHayal mera mala-mal ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.