markaz-e-josh-e-junun aql ki tanwir bhi tha
markaz-e-josh-e-junun aql ki tanwir bhi tha
Kausar Parveen Kausar
MORE BYKausar Parveen Kausar
markaz-e-josh-e-junūñ 'aql kī tanvīr bhī thā
vo mirā ḳhvāb mire ḳhvāb kī tā'bīr bhī thā
ek ḳhanjar hī nahīñ tishna udhar tiir bhī thā
muntazir mere liye halqa-e-zanjīr bhī thā
aabrū 'ishq kī hai ahl-e-yaqīñ se qaa.em
hosh ke vāste ye amr jū-e-shīr bhī thā
qadr kartā jo zamāna ye mire zaḳhmoñ kī
merā har zaḳhm jahāñ ke liye iksīr bhī thā
ab judā ho ke ye mahsūs huā hai mujh ko
vo mirā zauq-e-nazar fikr kī jāgīr bhī thā
kuchh ḳhabar bhī hai tujhe chhoḌ ke jaane vaale
merā ġham tere liye bā’is-e-tauqīr bhī thā
kis liye rang-e-taġhazzul pe ho nāzāñ 'kausar'
kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā
markaz-e-josh-e-junun 'aql ki tanwir bhi tha
wo mera KHwab mere KHwab ki ta'bir bhi tha
ek KHanjar hi nahin tishna udhar tir bhi tha
muntazir mere liye halqa-e-zanjir bhi tha
aabru 'ishq ki hai ahl-e-yaqin se qaem
hosh ke waste ye amr ju-e-shir bhi tha
qadr karta jo zamana ye mere zaKHmon ki
mera har zaKHm jahan ke liye iksir bhi tha
ab juda ho ke ye mahsus hua hai mujh ko
wo mera zauq-e-nazar fikr ki jagir bhi tha
kuchh KHabar bhi hai tujhe chhoD ke jaane wale
mera gham tere liye ba’is-e-tauqir bhi tha
kis liye rang-e-taghazzul pe ho nazan 'kausar'
kahte hain agle zamane mein koi 'mir' bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.