markaz-e-nur pe kajal ka andhera kar le
markaz-e-nūr pe kājal kā añdherā kar le
apnī palkoñ ko zarā aur ghanerā kar le
ye zamīñ chāñd kī rā'nā.ī se nā-vāqif hai
dil ke āñgan meñ kabhī paañv kā pherā kar le
ham alag tarh kī rakhte haiñ tavaqqo' tujh se
apnī zulfoñ ko bikher aur saverā kar le
maiñ tirī bāheñ jhaTak kar na chalā jā.ūñ kahīñ
aur mazbūt is āġhosh kā gherā kar le
mere siine meñ koī sham'-e-havas raushan hai
is ujāle ke tavassul se añdherā kar le
mom kī an-chhūī chiḌiyā ko yahī ḳhauf hai bas
barf ke peḌ pe sūraj na baserā kar le
markaz-e-nur pe kajal ka andhera kar le
apni palkon ko zara aur ghanera kar le
ye zamin chand ki ra'nai se na-waqif hai
dil ke aangan mein kabhi panw ka phera kar le
hum alag tarh ki rakhte hain tawaqqo' tujh se
apni zulfon ko bikher aur sawera kar le
main teri bahen jhaTak kar na chala jaun kahin
aur mazbut is aaghosh ka ghera kar le
mere sine mein koi sham'-e-hawas raushan hai
is ujale ke tawassul se andhera kar le
mom ki an-chhui chiDiya ko yahi KHauf hai bas
barf ke peD pe suraj na basera kar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.