markaz mein bah ke zat ka mehwar na aa gire
markaz meñ bah ke zaat kā mehvar na aa gire
raste meñ merī samt samundar na aa gire
phūloñ ke gird uḌtī haiñ shīshe kī titliyāñ
gulshan meñ koī ḳhair se patthar na aa gire
qismat kā nauha maiñ ne paḌhā āsmān par
dīvār-e-ġham kahīñ mire sar par na aa gire
ūñchā na uḌ havā.eñ bahut tez ho ga.iiñ
miTTī pe TuuT kar tirā shahpar na aa gire
raqsāñ hai bāġh-e-dīd meñ vo nargisī badan
dāman meñ koī gul use chhū kar na aa gire
ġhazleñ jhulas na jaa.eñ tavārud kī dhuup meñ
Dar hai koī ḳhayāl mukarrar na aa gire
sab ḳhauf oḌh so.e anāoñ ke ḳhol meñ
uryāñ saroñ pe shauq kā chhappar na aa gire
'vāqif' ḳhudā ke hukm kī ta.amīl ke baġhair
kyoñ ḳhuld se zamīñ pe payambar na aa gire
markaz mein bah ke zat ka mehwar na aa gire
raste mein meri samt samundar na aa gire
phulon ke gird uDti hain shishe ki titliyan
gulshan mein koi KHair se patthar na aa gire
qismat ka nauha main ne paDha aasman par
diwar-e-gham kahin mere sar par na aa gire
uncha na uD hawaen bahut tez ho gain
miTTi pe TuT kar tera shahpar na aa gire
raqsan hai bagh-e-did mein wo nargisi badan
daman mein koi gul use chhu kar na aa gire
ghazlen jhulas na jaen tawarud ki dhup mein
Dar hai koi KHayal mukarrar na aa gire
sab KHauf oDh soe anaon ke KHol mein
uryan saron pe shauq ka chhappar na aa gire
'waqif' KHuda ke hukm ki tamil ke baghair
kyon KHuld se zamin pe payambar na aa gire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.