marmarin paikar damakta mahtabi raat mein
marmarīñ paikar damaktā māhtābī raat meñ
barq paare gholtā hai mere ehsāsāt meñ
raqs kartī ik hasīna le ke ḳhanjar haath meñ
daf.atan bijlī chamak jaatī ho jaise raat meñ
thaap table kī chhanak paa.el kī ye barsāt meñ
māhī-e-be-āb huuñ bistar pe tanhā raat meñ
sab mirī dīvāngī se tang aa kar jā chuke
ab koī aaseb bhī baaqī nahīñ khañDarāt meñ
qurbatoñ ke lams kī sarshāriyoñ kā hai nasha
sham.a kī lau par patange jal rahe haiñ raat meñ
hūr-o-ġhilmāñ kausar-o-tasnīm ke va.ade ke saath
tazkira hai jannat-ul-firdaus kā āyāt meñ
marmarin paikar damakta mahtabi raat mein
barq pare gholta hai mere ehsasat mein
raqs karti ek hasina le ke KHanjar hath mein
dafatan bijli chamak jati ho jaise raat mein
thap table ki chhanak pael ki ye barsat mein
mahi-e-be-ab hun bistar pe tanha raat mein
sab meri diwangi se tang aa kar ja chuke
ab koi aaseb bhi baqi nahin khanDaraat mein
qurbaton ke lams ki sarshaariyon ka hai nasha
shama ki lau par patange jal rahe hain raat mein
hur-o-ghilman kausar-o-tasnim ke wade ke sath
tazkira hai jannat-ul-firdaus ka aayat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.