marna jina wafa haya kya hai
marnā jiinā vafā hayā kyā hai
ham se pūchho ye mudda.ā kyā hai
jo bhī hai saaf saaf bole vo
be-ḳhabar hai ḳhafā ḳhafā kyā hai
merā mahbūb hai mirā misra.a
bol ab terā qāfiya kyā hai
jis ko ham ne nichoḌ pheñkā hai
us javānī meñ ab bachā kyā hai
maiñ ne apne tabīb se pūchhā
dard vo hai to phir davā kyā hai
ham javānī talak pahuñch aa.e
yā-ilāhī ye mājrā kyā hai
tum ḳhudā.ī kā da.avā karte ho
tum ḳhudā ho to phir ḳhudā kyā hai
pahle jaañ mere lab tak aa jaa.e
phir batā.uñgā hausla kyā hai
ḳhushk lab tiin din kī fāqa-kashī
tum nā samjhoge karbalā kyā hai
naam 'ishrāq' hai 'azīzī' hai
sach batā terā naam kyā kyā hai
marna jina wafa haya kya hai
hum se puchho ye muddaa kya hai
jo bhi hai saf saf bole wo
be-KHabar hai KHafa KHafa kya hai
mera mahbub hai mera misra
bol ab tera qafiya kya hai
jis ko hum ne nichoD phenka hai
us jawani mein ab bacha kya hai
main ne apne tabib se puchha
dard wo hai to phir dawa kya hai
hum jawani talak pahunch aae
ya-ilahi ye majra kya hai
tum KHudai ka dawa karte ho
tum KHuda ho to phir KHuda kya hai
pahle jaan mere lab tak aa jae
phir bataunga hausla kya hai
KHushk lab tin din ki faqa-kashi
tum na samjhoge karbala kya hai
nam 'ishraq' hai 'azizi' hai
sach bata tera nam kya kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.