marne ke liye shauq se jina kya hai
marne ke liye shauq se jiinā kyā hai
kyā kahiye zamāne se ki duniyā kyā hai
ai kaash koī raaz batā de mujh ko
ḳhāliq ne mire baare meñ likkhā kyā hai
vijdān bhī bebas hai talab ke hāthoñ
kyā shai hai burī dahr meñ achchhā kyā hai
kis ḳhvāb kī rāhoñ meñ bhaTaktā hai dil
gum-gashta nigāhoñ meñ sarāpā kyā hai
jhoñke ne badal Daalā hai ḳhushbū kā chalan
ik phuul ne ik ḳhaar ko chūmā kyā hai
qadmoñ se lipaTtī hai sarāboñ kī gard
rasta kisī manzil kā taqāzā kyā hai
dīvār ko to puuj rahā hai sūraj
dar vā hai magar dar meñ huvaidā kyā hai
jazbāt ko bhātā nahīñ koī mausam
ehsās ke har moḌ meñ saudā kyā hai
har qurb kī taqdīr meñ duurī kaisī
bastī ke muqaddar meñ ye sahrā kyā hai
poshīda bhalā kyā hai talab se 'aiman'
ummīd kī tahdārī se ifshā kyā hai
marne ke liye shauq se jina kya hai
kya kahiye zamane se ki duniya kya hai
ai kash koi raaz bata de mujh ko
KHaliq ne mere bare mein likkha kya hai
wijdan bhi bebas hai talab ke hathon
kya shai hai buri dahr mein achchha kya hai
kis KHwab ki rahon mein bhaTakta hai dil
gum-gashta nigahon mein sarapa kya hai
jhonke ne badal Dala hai KHushbu ka chalan
ek phul ne ek KHar ko chuma kya hai
qadmon se lipaTti hai sarabon ki gard
rasta kisi manzil ka taqaza kya hai
diwar ko to puj raha hai suraj
dar wa hai magar dar mein huwaida kya hai
jazbaat ko bhata nahin koi mausam
ehsas ke har moD mein sauda kya hai
har qurb ki taqdir mein duri kaisi
basti ke muqaddar mein ye sahra kya hai
poshida bhala kya hai talab se 'aiman'
ummid ki tahdari se ifsha kya hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 139)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.