marne ki tamanna hai na jine ki hawas hai
marne kī tamannā hai na jiine kī havas hai
gulshan meñ nasheman hai na sahrā meñ qafas hai
bhaTke hue raahī ke qadam letī hai manzil
is raah meñ paiġhām-e-sukūñ bāñg-e-jaras hai
dekho to zarā da.avā-e-arbāb-e-mohabbat
har rang meñ pinhāñ koī unvān-e-havas hai
gulzār-e-mohabbat hai ki bustān-e-haqīqat
bulbul hai sharar-bār to gul sho.ala-nafas hai
ashkoñ se nahīñ dīda-e-ġhamnāk ko matlab
āñkhoñ meñ mirī nargis-e-bīmār kā ras hai
kho.e hue raahī haiñ to bhaTke hue rahbar
is daur meñ 'zamzam' jo na ho jaa.e vo bas hai
marne ki tamanna hai na jine ki hawas hai
gulshan mein nasheman hai na sahra mein qafas hai
bhaTke hue rahi ke qadam leti hai manzil
is rah mein paigham-e-sukun bang-e-jaras hai
dekho to zara dawa-e-arbab-e-mohabbat
har rang mein pinhan koi unwan-e-hawas hai
gulzar-e-mohabbat hai ki bustan-e-haqiqat
bulbul hai sharar-bar to gul shoala-nafas hai
ashkon se nahin dida-e-ghamnak ko matlab
aankhon mein meri nargis-e-bimar ka ras hai
khoe hue rahi hain to bhaTke hue rahbar
is daur mein 'zamzam' jo na ho jae wo bas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.