marte marte asar-e-soz-e-nihan baqi hai
marte marte asar-e-soz-e-nihāñ baaqī hai
bujh gayā dil kā diyā phir bhī dhuāñ baaqī hai
naujavānī to ga.ī ruuTh ke arsa guzrā
haañ javānī kā magar ab bhī nishānī baaqī hai
aa gayā un ko yaqīñ merī vafādārī kā
phir bhī kahte haiñ ki thoḌā sā gumāñ baaqī hai
agle logoñ meñ jo ik baat sharāfat kī thī
aaj ke daur meñ vo baat kahāñ baaqī hai
aa paḌā dasht meñ hangāma-e-duniyā se alag
phir bhī sar meñ vahī josh-e-ḳhafaqāñ baaqī hai
kaaT lī ḳhanjar-e-bedād ne go apnī zabāñ
lab-e-ḳhāmosh meñ ik aur bayāñ baaqī hai
ghar se be-ghar jo huā apne vatan meñ 'arshad'
ġham nahīñ mere liye kaun-o-makāñ baaqī hai
marte marte asar-e-soz-e-nihan baqi hai
bujh gaya dil ka diya phir bhi dhuan baqi hai
naujawani to gai ruTh ke arsa guzra
han jawani ka magar ab bhi nishani baqi hai
aa gaya un ko yaqin meri wafadari ka
phir bhi kahte hain ki thoDa sa guman baqi hai
agle logon mein jo ek baat sharafat ki thi
aaj ke daur mein wo baat kahan baqi hai
aa paDa dasht mein hangama-e-duniya se alag
phir bhi sar mein wahi josh-e-KHafaqan baqi hai
kaT li KHanjar-e-bedad ne go apni zaban
lab-e-KHamosh mein ek aur bayan baqi hai
ghar se be-ghar jo hua apne watan mein 'arshad'
gham nahin mere liye kaun-o-makan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.