marte nahin ab ishq mein yun to aatish-e-furqat ab bhi wahi hai
marte nahin ab ishq mein yun to aatish-e-furqat ab bhi wahi hai
Rashid Aazar
MORE BYRashid Aazar
marte nahīñ ab ishq meñ yuuñ to ātish-e-furqat ab bhī vahī hai
taur junūñ ke badle lekin soz-e-mohabbat ab bhī vahī hai
umr kī is manzil par bhī ham tujh par jaan nichhāvar kar deñ
go vo garmī ḳhuuñ meñ nahīñ hai dil meñ qayāmat ab bhī vahī hai
tum kyā jaano jiinā marnā ham ne kin shartoñ par sīkhā
aaj bhī aise log haiñ jin meñ shauq-e-shahādat ab bhī vahī hai
kaise kaise marhale guzre jin meñ us ne saath diyā thā
bhuul ga.e ham lekin us kī ham pe ināyat ab bhī vahī hai
kitne koh-e-girāñ kaaTe haiñ kitne sanam tarāshe 'āzar'
shauq-e-zuhūr kī har patthar meñ raqsāñ vahshat ab bhī vahī hai
marte nahin ab ishq mein yun to aatish-e-furqat ab bhi wahi hai
taur junun ke badle lekin soz-e-mohabbat ab bhi wahi hai
umr ki is manzil par bhi hum tujh par jaan nichhawar kar den
go wo garmi KHun mein nahin hai dil mein qayamat ab bhi wahi hai
tum kya jaano jina marna hum ne kin sharton par sikha
aaj bhi aise log hain jin mein shauq-e-shahadat ab bhi wahi hai
kaise kaise marhale guzre jin mein us ne sath diya tha
bhul gae hum lekin us ki hum pe inayat ab bhi wahi hai
kitne koh-e-giran kaTe hain kitne sanam tarashe 'azar'
shauq-e-zuhur ki har patthar mein raqsan wahshat ab bhi wahi hai
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 95)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.