marzi-e-yar pe har ek KHushi war chale
marzī-e-yār pe har ek ḳhushī vaar chale
jo kuchh apnā thā vo sab 'ishq meñ ham haar chale
kab ruke manzil-e-maqsūd se pahle ye qadam
uTh ke ik baar chale haiñ to lagātār chale
dekhtā rah gayā zāhid ye tamāsha kyā hai
ek girya ke ‘evaz ḳhuld ko mai-ḳhvār chale
chhā gayā abr liye aa ke bahāroñ ne qadam
zulf lahrā ke vo jab jānib-e-gulzār chale
mai kī tauba ko to muddat huī saaqī lekin
kuchh takalluf nahīñ gar sharbat-e-dīdār chale
barhaman dair gayā shaiḳh jī kā'be pahuñche
aur ham dil ko liye kūcha-e-dildār chale
chāhnā jurm hai gar tum ko to maiñ mujrim huuñ
sar mirā ḳham hai huzūr aap kī talvār chale
Thokareñ khā.īñ rah-e-‘ishq meñ 'yāsir' tum ne
sach to ye hai ki tum is raah meñ bekār chale
marzi-e-yar pe har ek KHushi war chale
jo kuchh apna tha wo sab 'ishq mein hum haar chale
kab ruke manzil-e-maqsud se pahle ye qadam
uTh ke ek bar chale hain to lagatar chale
dekhta rah gaya zahid ye tamasha kya hai
ek girya ke ‘ewaz KHuld ko mai-KHwar chale
chha gaya abr liye aa ke bahaaron ne qadam
zulf lahra ke wo jab jaanib-e-gulzar chale
mai ki tauba ko to muddat hui saqi lekin
kuchh takalluf nahin gar sharbat-e-didar chale
barhaman dair gaya shaiKH ji ka'be pahunche
aur hum dil ko liye kucha-e-dildar chale
chahna jurm hai gar tum ko to main mujrim hun
sar mera KHam hai huzur aap ki talwar chale
Thokaren khain rah-e-‘ishq mein 'yasir' tum ne
sach to ye hai ki tum is rah mein bekar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.