masafat manzilon ki jab hamare sar pe rakkhi thi
masāfat manziloñ kī jab hamāre sar pe rakkhī thī
falak kāñdhoñ pe rakkhā thā zamīñ Thokar pe rakkhī thī
hamāre pyaar kī shohrat huī thī yuuñ zamāne meñ
varaq saḌkoñ pe bikhre the kahānī ghar pe rakkhī thī
kiyā hai harf-e-haq ham ne adā kuchh is qarīne se
nazar qātil pe rakkhī thī zabāñ ḳhanjar pe rakkhī thī
tujhe paane kī uljhan meñ kuchh aise din bhī guzre haiñ
badan shabnam se jaltā thā qazā bistar pe rakkhī thī
masafat manzilon ki jab hamare sar pe rakkhi thi
falak kandhon pe rakkha tha zamin Thokar pe rakkhi thi
hamare pyar ki shohrat hui thi yun zamane mein
waraq saDkon pe bikhre the kahani ghar pe rakkhi thi
kiya hai harf-e-haq hum ne ada kuchh is qarine se
nazar qatil pe rakkhi thi zaban KHanjar pe rakkhi thi
tujhe pane ki uljhan mein kuchh aise din bhi guzre hain
badan shabnam se jalta tha qaza bistar pe rakkhi thi
- Book : Kashmakash (Pg. 71)
- Author : Mansoor Usmani
- Publication : Najma House, Baradari, Moradabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.