masafat zindagi aur hadson mein itni mubham hai
Interesting Fact
(Tarahi Mushaira 1953)
masāfat zindagī aur hādsoñ meñ itnī mub.ham hai
ḳhushī kahte haiñ jis ko ik zarā sā vaqfa-e-ġham hai
bahār-e-husn pinhāñ hai junūñ tahrīk-e-ālam hai
jahāñ ham haiñ vahāñ gunjā.ish-e-fikr-o-nazar kam hai
nigāh-e-vaqt meñ donoñ bhī shāneñ paa.ī jaatī haiñ
kahīñ zaḳhm-e-jigar hai aur kahīñ zaḳhmoñ kā marham hai
mazāq-e-ām se kyā mutma.in hoñge nazar vaale
shu.ūr-e-shādmānī tak nahīñ hai ġham to phir ġham hai
machāte haiñ tabāhī pahle phir taskīn dete haiñ
musalsal ham pe ehsāñ gulsitāñ vāloñ kā kyā kam hai
vahī dil kā lahū hai ashk kahiye yā hañsī kahiye
bhaḌak uTThe to sho.ala narm paḌ jaa.e to shabnam hai
ba-qaid-e-hosh to vo haiñ rag-e-jāñ ke qarīñ lekin
talab hadd-e-junūñ meñ ho to ye bhī fāsla kam hai
chhupā letī hai ḳhush-poshī bhī kyā kyā zaḳhm dāman meñ
sadā-e-ḳhanda-e-gul ek fariyād-e-munazzam hai
mizāj-e-dahr kyā un kī nazar ko dekh kar chup huuñ
mujhe mālūm hai hālāt meñ jitnā bhī dam-ḳham hai
payām-e-dost sunñe gosh-bar-āvāz rahtā huuñ
dhaḌaktā dil nahīñ pahlū meñ jiitā jāgtā ġham hai
vo kaise log haiñ yārab jo mar kar bhī nahīñ marte
yahāñ to zindagī meñ zindagī kā shā.iba kam hai
ajab aalam hai 'shauq' ehsās-e-ġham kī pāsdārī kā
ba-zāhir ḳhushk haiñ āñkheñ magar dāmān-e-dil nam hai
masafat zindagi aur hadson mein itni mubham hai
KHushi kahte hain jis ko ek zara sa waqfa-e-gham hai
bahaar-e-husn pinhan hai junun tahrik-e-alam hai
jahan hum hain wahan gunjaish-e-fikr-o-nazar kam hai
nigah-e-waqt mein donon bhi shanen pai jati hain
kahin zaKHm-e-jigar hai aur kahin zaKHmon ka marham hai
mazaq-e-am se kya mutmain honge nazar wale
shuur-e-shadmani tak nahin hai gham to phir gham hai
machate hain tabahi pahle phir taskin dete hain
musalsal hum pe ehsan gulsitan walon ka kya kam hai
wahi dil ka lahu hai ashk kahiye ya hansi kahiye
bhaDak uTThe to shoala narm paD jae to shabnam hai
ba-qaid-e-hosh to wo hain rag-e-jaan ke qarin lekin
talab hadd-e-junun mein ho to ye bhi fasla kam hai
chhupa leti hai KHush-poshi bhi kya kya zaKHm daman mein
sada-e-KHanda-e-gul ek fariyaad-e-munazzam hai
mizaj-e-dahr kya un ki nazar ko dekh kar chup hun
mujhe malum hai haalat mein jitna bhi dam-KHam hai
payam-e-dost sunne gosh-bar-awaz rahta hun
dhaDakta dil nahin pahlu mein jita jagta gham hai
wo kaise log hain yarab jo mar kar bhi nahin marte
yahan to zindagi mein zindagi ka shaiba kam hai
ajab aalam hai 'shauq' ehsas-e-gham ki pasdari ka
ba-zahir KHushk hain aankhen magar daman-e-dil nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.