masafaton ka kabhi iKHtitam kar mujh mein
masāfatoñ kā kabhī iḳhtitām kar mujh meñ
ai bād-e-asr kabhī to qiyām kar mujh meñ
azal kī aañkh meñ jo tū ne rakh diyā thā kabhī
us ek ḳhvāb kā manzar tamām kar mujh meñ
hai īstāda bachāne ke vāste koī
mire vajūd kī dīvār thaam kar mujh meñ
maiñ tere sāmne tanhā khaḌā huuñ husn-e-azal
shu.ūr-e-ḳhalq se haT kar kalām kar mujh meñ
masafaton ka kabhi iKHtitam kar mujh mein
ai baad-e-asr kabhi to qiyam kar mujh mein
azal ki aankh mein jo tu ne rakh diya tha kabhi
us ek KHwab ka manzar tamam kar mujh mein
hai istada bachane ke waste koi
mere wajud ki diwar tham kar mujh mein
main tere samne tanha khaDa hun husn-e-azal
shuur-e-KHalq se haT kar kalam kar mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.