masafaton ke wasile nahin badal jate
masāfatoñ ke vasīle nahīñ badal jaate
havā badalne se raste nahīñ badal jaate
lahū kī aag se raushan haiñ pyaar kī qadreñ
kahīñ bhī jaao ye rishte nahīñ badal jaate
maiñ mo'tarif huuñ yazīdoñ kā shahr hai ye bhī
magar furāt ke pyāse nahīñ badal jaate
har ik maqām pe pākīzgī salāmat hai
zamīñ pe aa ke farishte nahīñ badal jaate
gharoñ meñ baiTh ke paiġhambarī nahīñ hotī
gharoñ meñ baiTh ke bachche nahīñ badal jaate
kisī bhī haal se guzreñ magar kabhī 'rāhī'
buzurg logoñ ke rutbe nahīñ badal jaate
masafaton ke wasile nahin badal jate
hawa badalne se raste nahin badal jate
lahu ki aag se raushan hain pyar ki qadren
kahin bhi jao ye rishte nahin badal jate
main mo'tarif hun yazidon ka shahr hai ye bhi
magar furaat ke pyase nahin badal jate
har ek maqam pe pakizgi salamat hai
zamin pe aa ke farishte nahin badal jate
gharon mein baiTh ke paighambari nahin hoti
gharon mein baiTh ke bachche nahin badal jate
kisi bhi haal se guzren magar kabhi 'rahi'
buzurg logon ke rutbe nahin badal jate
- Book : سائبان غزل (Pg. 37)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.