masaib zamane ke kam kijiye
masā.ib zamāne ke kam kījiye
zamāne ko rashk-e-iram kījiye
na be-kār baiTho kabhī dosto
ki do chaar tai ab qadam kījiye
jo karte ho ka.abe meñ rab ko talāsh
zamāne ko misl-e-haram kījiye
kisī par bhī Dhaao na zulm-o-sitam
har ik pe nigāh-e-karam kījiye
jo dekho kisī ko bhī rotā huā
to āñkhoñ ko apnī bhī nam kījiye
bahut saḳht dil kyoñ tumhāre hue
zarā dil kī saḳhtī ko kam kījiye
kisī ke bhī aage ḳhudā ke sivā
kabhī apne sar ko na ḳham kījiye
nahīñ lagtā duniyā meñ 'sāgar' jī dil
chalo chal ke sair-e-adam kījiye
masaib zamane ke kam kijiye
zamane ko rashk-e-iram kijiye
na be-kar baiTho kabhi dosto
ki do chaar tai ab qadam kijiye
jo karte ho kabe mein rab ko talash
zamane ko misl-e-haram kijiye
kisi par bhi Dhao na zulm-o-sitam
har ek pe nigah-e-karam kijiye
jo dekho kisi ko bhi rota hua
to aankhon ko apni bhi nam kijiye
bahut saKHt dil kyon tumhaare hue
zara dil ki saKHti ko kam kijiye
kisi ke bhi aage KHuda ke siwa
kabhi apne sar ko na KHam kijiye
nahin lagta duniya mein 'sagar' ji dil
chalo chal ke sair-e-adam kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.