masail sar uThae chal rahe hain
masā.il sar uThā.e chal rahe haiñ
bharī barsāt meñ ham jal rahe haiñ
ham aise soḳhta-dil log barsoñ
kisī kī aañkh kā kājal rahe haiñ
hujūm-e-fasal-e-gul hai phir bhī ham log
abhī kāñToñ pe jaise chal rahe haiñ
na jaane kitne shīshe ke makāñ meñ
abhī farhād-o-majnūñ pal rahe haiñ
tamannāoñ kī manzil tak bahut se
hamārī raah meñ maqtal rahe haiñ
kabhī ham rañg-o-ḳhushbū ban ke 'fāḳhir'
kisī ke jism kā sandal rahe haiñ
masail sar uThae chal rahe hain
bhari barsat mein hum jal rahe hain
hum aise soKHta-dil log barson
kisi ki aankh ka kajal rahe hain
hujum-e-fasal-e-gul hai phir bhi hum log
abhi kanTon pe jaise chal rahe hain
na jaane kitne shishe ke makan mein
abhi farhad-o-majnun pal rahe hain
tamannaon ki manzil tak bahut se
hamari rah mein maqtal rahe hain
kabhi hum rang-o-KHushbu ban ke 'faKHir'
kisi ke jism ka sandal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.