masam-e-sang se us dam pasine KHun ke chalte hain
masam-e-sang se us dam pasine KHun ke chalte hain
Badiuzzaman Sahar
MORE BYBadiuzzaman Sahar
masām-e-sang se us dam pasīne ḳhuuñ ke chalte haiñ
kafan-bardosh jab ham kū-e-qātil meñ nikalte haiñ
kahāñ ahl-e-junūñ chhāñv meñ zulfoñ kī Tahalte haiñ
mashaqqat kī kaḌī jab dhuup hotī hai to chalte haiñ
tumhārī anjuman meñ sirf farzāne bahalte haiñ
junūñ ke hausle to jā ke maqtal meñ nikalte haiñ
nasīm-e-nau-bahārī aa tujhe gulshan meñ pohñchā deñ
ye sahrā hai yahāñ to sirf dīvāne Tahalte haiñ
hama-dam nā-ḳhudāo bādbānoñ pe nazar rakhnā
na jaane kab ye āb-e-tah-nashīñ tevar badalte haiñ
vo hai kam-zarf jo do ghūñT pī kar Dagmagā jaa.e
ham ‘ālī-zarf jitnā piite haiñ utnā sañbhalte haiñ
hamārā dāman-e-tar shaiḳh ke jubbe se kyā kam hai
ki is ''tar-dāmanī meñ maġhfirat ke diip jalte haiñ
use andesha-hā-e-ābla-pā.ī 'sahar' kyoñ ho
vo jis ke naqsh-e-pā se anginat raste nikalte haiñ
masam-e-sang se us dam pasine KHun ke chalte hain
kafan-bardosh jab hum ku-e-qatil mein nikalte hain
kahan ahl-e-junun chhanw mein zulfon ki Tahalte hain
mashaqqat ki kaDi jab dhup hoti hai to chalte hain
tumhaari anjuman mein sirf farzane bahalte hain
junun ke hausle to ja ke maqtal mein nikalte hain
nasim-e-nau-bahaari aa tujhe gulshan mein pohncha den
ye sahra hai yahan to sirf diwane Tahalte hain
hama-dam na-KHudao baadbanon pe nazar rakhna
na jaane kab ye aab-e-tah-nashin tewar badalte hain
wo hai kam-zarf jo do ghunT pi kar Dagmaga jae
hum ‘ali-zarf jitna pite hain utna sanbhalte hain
hamara daman-e-tar shaiKH ke jubbe se kya kam hai
ki is tar-damani mein maghfirat ke dip jalte hain
use andesha-ha-e-abla-pai 'sahar' kyon ho
wo jis ke naqsh-e-pa se anginat raste nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.