masala hal kabhi hota nahin talwar ke sath
mas.ala hal kabhī hotā nahīñ talvār ke saath
baat bantī hai sadā narmī-e-guftār ke saath
maiñ garebāñ se vo uljhā rahā dastār ke saath
chal na donoñ hī sake vaqt kī raftār ke saath
dā.imī hai ye suḳhan go hai suḳhan-var faanī
dafn hotā hī nahīñ fan kabhī fankār ke saath
yuuñ sazā dī ga.ī dastūr ke qātil tujh ko
jaise qānūn bhī shāmil ho gunahgār ke saath
tere āsār bhī duniyā ko nazar na aate
gar maiñ phailā thā kabhī jabr kī talvār ke saath
har jagah rāhoñ meñ arbāb-e-karam haiñ aḳhtar
phir koī kaise chale vaqt kī raftār ke saath
masala hal kabhi hota nahin talwar ke sath
baat banti hai sada narmi-e-guftar ke sath
main gareban se wo uljha raha dastar ke sath
chal na donon hi sake waqt ki raftar ke sath
daimi hai ye suKHan go hai suKHan-war fani
dafn hota hi nahin fan kabhi fankar ke sath
yun saza di gai dastur ke qatil tujh ko
jaise qanun bhi shamil ho gunahgar ke sath
tere aasar bhi duniya ko nazar na aate
gar main phaila tha kabhi jabr ki talwar ke sath
har jagah rahon mein arbab-e-karam hain aKHtar
phir koi kaise chale waqt ki raftar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.