masale aur bhi hain dil ke masail ke siwa
mas.ale aur bhī haiñ dil ke masā.il ke sivā
manzileñ aur bahut ishq kī manzil ke sivā
apnī kashtī ko zarā ḳhūgar-e-tūfāñ kar le
āsare aur bhī mil jā.eñge sāhil ke sivā
shāyad insān kī qismat hī meñ ārām nahīñ
mushkileñ aur bhī haiñ maut kī mushkil ke sivā
jī meñ aatā hai tujhe nazr karūñ saarā jahāñ
aur mire paas nahīñ kuchh bhī mire dil ke sivā
maiñ shab-e-hijr ke har lutf se mahfūz huā
mere pahlū meñ magar koī na thā dil ke sivā
fikr duniyā kī kabhī aur kabhī dil kā alam
zindagī kuchh bhī nahīñ chand masā.il ke sivā
masale aur bhi hain dil ke masail ke siwa
manzilen aur bahut ishq ki manzil ke siwa
apni kashti ko zara KHugar-e-tufan kar le
aasare aur bhi mil jaenge sahil ke siwa
shayad insan ki qismat hi mein aaram nahin
mushkilen aur bhi hain maut ki mushkil ke siwa
ji mein aata hai tujhe nazr karun sara jahan
aur mere pas nahin kuchh bhi mere dil ke siwa
main shab-e-hijr ke har lutf se mahfuz hua
mere pahlu mein magar koi na tha dil ke siwa
fikr duniya ki kabhi aur kabhi dil ka alam
zindagi kuchh bhi nahin chand masail ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.