masale aur bhi hain ishq ke aazar ke sath
mas.ale aur bhī haiñ ishq ke āzār ke saath
sirf ik karb nahīñ umr kī raftār ke saath
haa.e mahrūmī-e-qismat ki tujhe pā na sake
ham har ik samt ga.e hasrat-e-dīdār ke saath
kaise maiñ aap kī tāzīm bajā lā.ūñgā
merī bantī hī nahīñ hāshiya-bardār ke saath
abhī ḳhush-rang hai tābānī mire āñgan kī
ranjisheñ hone lagīñ kyoñ dar-o-dīvār ke saath
dars dete haiñ bahut log payambar vaale
baiThtā koī nahīñ muflis-o-nādār ke saath
us ke hisse kā bhī ġham mujh ko atā kar de magar
an-ginat ḳhushiyāñ rahīñ maulā mire yaar ke saath
guftugū kā bhī salīqa nahīñ jin ko 'shauqī'
aaj phirte haiñ vahī mansab-o-dastār ke saath
masale aur bhi hain ishq ke aazar ke sath
sirf ek karb nahin umr ki raftar ke sath
hae mahrumi-e-qismat ki tujhe pa na sake
hum har ek samt gae hasrat-e-didar ke sath
kaise main aap ki tazim baja launga
meri banti hi nahin hashiya-bardar ke sath
abhi KHush-rang hai tabani mere aangan ki
ranjishen hone lagin kyon dar-o-diwar ke sath
dars dete hain bahut log payambar wale
baiThta koi nahin muflis-o-nadar ke sath
us ke hisse ka bhi gham mujh ko ata kar de magar
an-ginat KHushiyan rahin maula mere yar ke sath
guftugu ka bhi saliqa nahin jin ko 'shauqi'
aaj phirte hain wahi mansab-o-dastar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.