Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masarrat-baKHsh ho aah-e-sahar aisa bhi hota hai

Syed Manzar Hasan Desnavi

masarrat-baKHsh ho aah-e-sahar aisa bhi hota hai

Syed Manzar Hasan Desnavi

MORE BYSyed Manzar Hasan Desnavi

    masarrat-baḳhsh ho āh-e-sahar aisā bhī hotā hai

    shab-e-furqat bhī ho jaa.e bas aisā bhī hotā hai

    bahut dekhe sitamgar fitna-parvar bazm-e-imkāñ meñ

    magar duniyā meñ koī fitna-gar aisā bhī hotā hai

    tumhārī chārasāzī kaam aa jaa.e to kyā kahnā

    ye hotā hai bahut kam magar aisā bhī hotā hai

    ba-vaqt-e-sub.h chashm-e-gul meñ shabnam ye bhī hotā hai

    fuġhān-e-nīm-shab ye asar aisā bhī hotā hai

    gulistāñ fazā meñ rang-o-nik.hat DhūñDne vaalo

    rag-e-gul meñ chhupe hoñ neshtar aisā bhī hotā hai

    ta.ammul kyā hai manzar dāvat-e-mizhgāñ kiye jaao

    davā ḳhud DhūñD le zaḳhm-e-jigar aisā bhī hotā hai

    masarrat-baKHsh ho aah-e-sahar aisa bhi hota hai

    shab-e-furqat bhi ho jae bas aisa bhi hota hai

    bahut dekhe sitamgar fitna-parwar bazm-e-imkan mein

    magar duniya mein koi fitna-gar aisa bhi hota hai

    tumhaari chaarasazi kaam aa jae to kya kahna

    ye hota hai bahut hi kam magar aisa bhi hota hai

    ba-waqt-e-subh chashm-e-gul mein shabnam ye bhi hota hai

    fughan-e-nim-shab ka ye asar aisa bhi hota hai

    gulistan ki faza mein rang-o-nikhat DhunDne walo

    rag-e-gul mein chhupe hon neshtar aisa bhi hota hai

    tammul kya hai manzar dawat-e-mizhgan kiye jao

    dawa KHud DhunD le zaKHm-e-jigar aisa bhi hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now