masarrat ki ghaTaen hain wafur-e-shadmani hai
masarrat ki ghaTaen hain wafur-e-shadmani hai
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
masarrat kī ghaTā.eñ haiñ vafūr-e-shādmānī hai
numāyāñ aaj gulshan meñ bahār-e-zindagānī hai
uḌā diiñ dhajjiyāñ dāman kī apne josh-e-bahjat meñ
chaman meñ aaj phūloñ ko bhī kitnī shādmānī hai
agar ulfat na hotī zindagānī talḳh ho jaatī
mohabbat hī haqīqat meñ bahār-e-jāvedānī hai
suneñge aap kab tak ye fasāna dard-e-ulfat kā
mire ayyām-e-rafta kī baḌī lambī kahānī hai
agar ho zauq-e-ulfat phuul ban jaate haiñ kāñTe bhī
mohabbat se jidhar dekho udhar hī shādmānī hai
huī jaatī hai jab tausī’ mī.ād-e-asīrī meñ
asīrān-e-qafas ko kyoñ phir itnī shādmānī hai
yahī din haiñ nashāt-angeziyāñ phir kyoñ na hoñ in meñ
murādeñ haiñ umangeñ haiñ ḳhudā rakkhe javānī hai
masā.ib meñ guloñ se koī sīkhe shādmāñ rahnā
garebāñ chaak hone par bhī kitnī shādmānī hai
na ghabrānā masā.ib meñ 'zakī' mauj-e-havādis se
are nādāñ mujāhid kī yahī to zindagānī hai
masarrat ki ghaTaen hain wafur-e-shadmani hai
numayan aaj gulshan mein bahaar-e-zindagani hai
uDa din dhajjiyan daman ki apne josh-e-bahjat mein
chaman mein aaj phulon ko bhi kitni shadmani hai
agar ulfat na hoti zindagani talKH ho jati
mohabbat hi haqiqat mein bahaar-e-jawedani hai
sunenge aap kab tak ye fasana dard-e-ulfat ka
mere ayyam-e-rafta ki baDi lambi kahani hai
agar ho zauq-e-ulfat phul ban jate hain kanTe bhi
mohabbat se jidhar dekho udhar hi shadmani hai
hui jati hai jab tausi’ miad-e-asiri mein
asiran-e-qafas ko kyon phir itni shadmani hai
yahi din hain nashat-angeziyan phir kyon na hon in mein
muraden hain umangen hain KHuda rakkhe jawani hai
masaib mein gulon se koi sikhe shadman rahna
gareban chaak hone par bhi kitni shadmani hai
na ghabrana masaib mein 'zaki' mauj-e-hawadis se
are nadan mujahid ki yahi to zindagani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.