masarrat mein bhi hai pinhan alam yun bhi hai aur yun bhi
masarrat meñ bhī hai pinhāñ alam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
surūd-e-zindagī meñ zer-o-bam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ġhamoñ se hai garebāñ meñ itā.at kā gilā kyuuñ ho
do guuna baar hai sar par vo ḳham yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
tarīq-e-ḳhusravī bhī hai kināya hai ki mah ham haiñ
unheñ zebā hai ham kahnā ye ham yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
kamar kī justujū se kyā dahan kī aarzū kyuuñ ho
mohabbat ke marāhil meñ adam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
lagī haiñ maut par āñkheñ magar hai diid kī hasrat
ye vaqt-e-naz.a hai āñkhoñ meñ dam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
qasam khaa.ī hai ulfat kī ḳhudā rakkhe use qaa.em
phañsī hai jaan mushkil meñ qasam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
tirī dariyā-dilī saaqī hamārī tishna-kāmī se
ḳhajil kaise na ho miinā meñ kam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
hasīñ jaise koī mūrat ho dil rakhtā hai patthar kā
vo kāfir kyuuñ burā maane sanam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
masarrat meñ dil-e-hirmāñ-zada ko ḳhauf hai ġham kā
nahīñ mumkin mafar ġham se ki ġham yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
kareñ mashq-e-taġhāful yā jafā.eñ aap farmā.eñ
yahāñ taslīm kī ḳhū se karam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
nadāmat hai jafāoñ par shikāyat par itaab un ko
jabīñ kā haal kyā kahiye ki nam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
muġhāñ se is ko ulfat hai ayaañ chehre se vahshat hai
koī ḳhādim se kyā pūchhe ajam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
masarrat mein bhi hai pinhan alam yun bhi hai aur yun bhi
surud-e-zindagi mein zer-o-bam yun bhi hai aur yun bhi
ghamon se hai gareban mein itaat ka gila kyun ho
do guna bar hai sar par wo KHam yun bhi hai aur yun bhi
tariq-e-KHusrawi bhi hai kinaya hai ki mah hum hain
unhen zeba hai hum kahna ye hum yun bhi hai aur yun bhi
kamar ki justuju se kya dahan ki aarzu kyun ho
mohabbat ke marahil mein adam yun bhi hai aur yun bhi
lagi hain maut par aankhen magar hai did ki hasrat
ye waqt-e-naza hai aankhon mein dam yun bhi hai aur yun bhi
qasam khai hai ulfat ki KHuda rakkhe use qaem
phansi hai jaan mushkil mein qasam yun bhi hai aur yun bhi
teri dariya-dili saqi hamari tishna-kaami se
KHajil kaise na ho mina mein kam yun bhi hai aur yun bhi
hasin jaise koi murat ho dil rakhta hai patthar ka
wo kafir kyun bura mane sanam yun bhi hai aur yun bhi
masarrat mein dil-e-hirman-zada ko KHauf hai gham ka
nahin mumkin mafar gham se ki gham yun bhi hai aur yun bhi
karen mashq-e-taghaful ya jafaen aap farmaen
yahan taslim ki KHu se karam yun bhi hai aur yun bhi
nadamat hai jafaon par shikayat par itab un ko
jabin ka haal kya kahiye ki nam yun bhi hai aur yun bhi
mughan se is ko ulfat hai ayan chehre se wahshat hai
koi KHadim se kya puchhe ajam yun bhi hai aur yun bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.