masarraton ke ewaz jo yaron KHamoshiyon ke rafiq honge
masarratoñ ke evaz jo yāroñ ḳhamoshiyoñ ke rafīq hoñge
hameñ pata hai vahī tumhārī mohabbatoñ meñ ġharīq hoñge
ai ham-safar sun ga.ī rutoñ kī muhīb shab meñ bichhaḌ ke mujh se
na sochā tū ne ki terī furqat ke dasht kitne amiiq hoñge
jo zard rut kī hirāsatoñ meñ hayāt apnī guzārte haiñ
vo log ik din tū dekh lenā udāsiyoñ ke farīq hoñge
ḳhulūs-o-chāhat vafā mohabbat ko dekhtī huuñ to sochtī huuñ
har aane vaalī sadī meñ hamdam ye taur kis ke tarīq hoñge
maiñ paas aa kar habīb tere ḳhamosh lab se yahī kahūñgī
jo izzatoñ ko bigāḌ Dāleñ vo log kaise shafīq hoñge
masarraton ke ewaz jo yaron KHamoshiyon ke rafiq honge
hamein pata hai wahi tumhaari mohabbaton mein ghariq honge
ai ham-safar sun gai ruton ki muhib shab mein bichhaD ke mujh se
na socha tu ne ki teri furqat ke dasht kitne amiq honge
jo zard rut ki hirasaton mein hayat apni guzarte hain
wo log ek din tu dekh lena udasiyon ke fariq honge
KHulus-o-chahat wafa mohabbat ko dekhti hun to sochti hun
har aane wali sadi mein hamdam ye taur kis ke tariq honge
main pas aa kar habib tere KHamosh lab se yahi kahungi
jo izzaton ko bigaD Dalen wo log kaise shafiq honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.