masarraton ke fasane ka iKHtitam hua
masarratoñ ke fasāne kā iḳhtitām huā
hamārā dard zamāne meñ ab to 'aam huā
ye qisse aaj bhī aañsū bayān karte haiñ
ġham-e-hayāt kā qissa kahāñ tamām huā
na jiite jī milī duniyā meñ us ko kuchh 'izzat
ki baa'd marne ke duniyā meñ us kā naam huā
tumhārā raqs bhī jaa.ez hai bar-sar-e-mahfil
hamārā baiTh ke piinā bhī ab harām huā
dhaḌaktā hai mire siine meñ ye tumhārā liye
jo dil mirā hai vo kab kā tumhāre naam huā
jahāñ-jahāñ pe qadam mere yaar ne rakkhe
vahīñ vahīñ pe bahāroñ kā ehtimām huā
zabān khul na sakī un ke rū-ba-rū to 'qamar'
nazar nazar meñ sar-e-anjuman kalām huā
masarraton ke fasane ka iKHtitam hua
hamara dard zamane mein ab to 'am hua
ye qisse aaj bhi aansu bayan karte hain
gham-e-hayat ka qissa kahan tamam hua
na jite ji mili duniya mein us ko kuchh 'izzat
ki ba'd marne ke duniya mein us ka nam hua
tumhaara raqs bhi jaez hai bar-sar-e-mahfil
hamara baiTh ke pina bhi ab haram hua
dhaDakta hai mere sine mein ye tumhaara liye
jo dil mera hai wo kab ka tumhaare nam hua
jahan-jahan pe qadam mere yar ne rakkhe
wahin wahin pe bahaaron ka ehtimam hua
zaban khul na saki un ke ru-ba-ru to 'qamar'
nazar nazar mein sar-e-anjuman kalam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.