masarraton ki na saqi sharab de mujhko
masarratoñ kī na saaqī sharāb de mujh ko
haqīqatoñ kā musalsal 'azāb de mujh ko
savāl ye nahīñ luuTe haiñ qāfile kis ne
kahāñ luTe haiñ bas itnā javāb de mujh ko
añdhere haiñ ki taḳhayyul pe chhā.e jaate haiñ
Dubo ke ḳhum meñ koī āftāb de mujh ko
bahak sakūñgā na hargiz tirī nazar kī qasam
shumār jaam na kar be-hisāb de mujh ko
zamāna kahtā hai 'az.har' ko rind-e-āvāra
huuñ muntazir koī tū bhī ḳhitāb de mujh ko
masarraton ki na saqi sharab de mujh ko
haqiqaton ka musalsal 'azab de mujh ko
sawal ye nahin luTe hain qafile kis ne
kahan luTe hain bas itna jawab de mujh ko
andhere hain ki taKHayyul pe chhae jate hain
Dubo ke KHum mein koi aaftab de mujh ko
bahak sakunga na hargiz teri nazar ki qasam
shumar jam na kar be-hisab de mujh ko
zamana kahta hai 'azhar' ko rind-e-awara
hun muntazir koi tu bhi KHitab de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.