mashal-e-dard ko bhaDkao ki kuchh raat kaTe
mash.al-e-dard ko bhaḌkāo ki kuchh raat kaTe
aaj har zaḳhm ko chamkāo ki kuchh raat kaTe
phir chale un kī hadīs-e-lab-o-ruḳhsār chalo
daar par ham ko chaḌhā aao ki kuchh raat kaTe
vo to sab bhar ga.e ab tak jo mile the yaaro
ab koī zaḳhm nayā khaao ki kuchh raat kaTe
talḳhī-e-zīst ke sannāTe se Dar lagtā hai
phir ġham-e-yār ko bulvāo ki kuchh raat kaTe
ik na ik hādisa har saañs ke saath aatā hai
merī jaañ tum bhī chalī aao ki kuchh raat kaTe
sard-o-ḳhāmosh hai ab anjuman-e-fan 'shāġhil'
sher-o-ehsās ko sulgāo ki kuchh raat kaTe
mashal-e-dard ko bhaDkao ki kuchh raat kaTe
aaj har zaKHm ko chamkao ki kuchh raat kaTe
phir chale un ki hadis-e-lab-o-ruKHsar chalo
dar par hum ko chaDha aao ki kuchh raat kaTe
wo to sab bhar gae ab tak jo mile the yaro
ab koi zaKHm naya khao ki kuchh raat kaTe
talKHi-e-zist ke sannaTe se Dar lagta hai
phir gham-e-yar ko bulwao ki kuchh raat kaTe
ek na ek hadisa har sans ke sath aata hai
meri jaan tum bhi chali aao ki kuchh raat kaTe
sard-o-KHamosh hai ab anjuman-e-fan 'shaghil'
sher-o-ehsas ko sulgao ki kuchh raat kaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.