mashaqqat ka pasina KHun mein tahlil hota hai
mashaqqat kā pasīna ḳhuun meñ tahlīl hotā hai
añdherā raushnī meñ tab kahīñ tabdīl hotā hai
bichhaḌte hī kisī se ho gayā ehsās ye ham ko
ki rastā kis tarah ik miil kā sau miil hotā hai
ye ūñche log khul kar mil nahīñ sakte kabhī tum se
samundar bhī simaT kar kyā kahīñ par jhiil hotā hai
hazāroñ ḳhuun kī būñdeñ fanā ho jaatī haiñ jal kar
tab ik aañsū kisī kī raah kī qindīl hotā hai
mirī hairat meñ hotā hai izāfa kis qadar 'nādir'
vo ik chehra ka.ī chehroñ meñ jab tahlīl hotā hai
mashaqqat ka pasina KHun mein tahlil hota hai
andhera raushni mein tab kahin tabdil hota hai
bichhaDte hi kisi se ho gaya ehsas ye hum ko
ki rasta kis tarah ek mil ka sau mil hota hai
ye unche log khul kar mil nahin sakte kabhi tum se
samundar bhi simaT kar kya kahin par jhil hota hai
hazaron KHun ki bunden fana ho jati hain jal kar
tab ek aansu kisi ki rah ki qindil hota hai
meri hairat mein hota hai izafa kis qadar 'nadir'
wo ek chehra kai chehron mein jab tahlil hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.