mashaqqaton ka hawala nahin utarta hai
mashaqqatoñ kā havāla nahīñ utartā hai
hamāre haath se chhālā nahīñ utartā hai
utāre jaate haiñ āñkhoñ meñ aise aise azaab
gale se ek nivāla nahīñ utartā hai
vo māhtāb hai jis din se qaid kamre meñ
hamārī chhat pe ujālā nahīñ utartā hai
hamāre haal pe nā-bīnā log rone lage
bas us kī aañkh kā jaalā nahīñ utartā hai
maiñ jab se bhā.iyoñ ke pīchhe pīchhe chalne lagā
kisī kī piiTh pe bhālā nahīñ utartā hai
zamīñ pe roz utartī haiñ āfateñ 'dānish'
magar utārne vaalā nahīñ utartā hai
mashaqqaton ka hawala nahin utarta hai
hamare hath se chhaala nahin utarta hai
utare jate hain aankhon mein aise aise azab
gale se ek niwala nahin utarta hai
wo mahtab hai jis din se qaid kamre mein
hamari chhat pe ujala nahin utarta hai
hamare haal pe na-bina log rone lage
bas us ki aankh ka jala nahin utarta hai
main jab se bhaiyon ke pichhe pichhe chalne laga
kisi ki piTh pe bhaala nahin utarta hai
zamin pe roz utarti hain aafaten 'danish'
magar utarne wala nahin utarta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.