mashghala ye bhi bahut achchha hai lekin waqt par
mashġhalā ye bhī bahut achchhā hai lekin vaqt par
ham bhī farmā.eñge yaaro 'ishq ik din vaqt par
haañ kahāñ se laa.eñ bām-o-dar kī bātoñ kā javāb
haañ kareñge kyā pahuñch kar ghar tire bin vaqt par
kaash ham is dard se yak-laḳht pā jaate najāt
kaash Das letī hameñ ye hijr-nāgin vaqt par
to zamīñ ko āsmāñ karne kī koshish Thiik hai
sunte haiñ har chiiz ho jaatī hai mumkin vaqt par
mashghala ye bhi bahut achchha hai lekin waqt par
hum bhi farmaenge yaro 'ishq ek din waqt par
han kahan se laen baam-o-dar ki baaton ka jawab
han karenge kya pahunch kar ghar tere bin waqt par
kash hum is dard se yak-laKHt pa jate najat
kash Das leti hamein ye hijr-nagin waqt par
to zamin ko aasman karne ki koshish Thik hai
sunte hain har chiz ho jati hai mumkin waqt par
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 67)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.