masjid mein bhi jata hun to mai-KHana samajh kar
masjid mein bhi jata hun to mai-KHana samajh kar
Fazal Husain Sabir
MORE BYFazal Husain Sabir
masjid meñ bhī jaatā huuñ to mai-ḳhāna samajh kar
har zarf-e-vazū letā huuñ paimāna samajh kar
le bosa-e-zulf ai dil-e-farzāna samajh kar
uljheñ na kahīñ tujh se vo dīvāna samajh kar
lau sham.a-ruḳhoñ se na lagā ai dil-e-nādāñ
āshiq ko bulāte haiñ vo parvāna samajh kar
gardish mirī qismat kī tujhe chain na degī
ai charḳh mujhe piis na tū daana samajh kar
allah re tajāhul mujhe dekhā jo sar-e-bazm
muñh pher liyā yaar ne begāna samajh kar
aane ko to aa.e vo mire ḳhāna-e-dil meñ
dam bhar bhī na Thahre yahāñ vīrāna samajh kar
kis darja ta'alluq hai mire dil ko butoñ se
ka.aba meñ bhī jaatā huuñ to but-ḳhāna samajh kar
dilchasp kuchh aisā hai ki dushman kī zabāñ se
sunte haiñ mirā zikr vo afsāna samajh kar
dete to ho dil us but-e-be-mehr-o-vafā ko
lekin zarā ai 'sābir'-e-farzāna samajh kar
masjid mein bhi jata hun to mai-KHana samajh kar
har zarf-e-wazu leta hun paimana samajh kar
le bosa-e-zulf ai dil-e-farzana samajh kar
uljhen na kahin tujh se wo diwana samajh kar
lau shama-ruKHon se na laga ai dil-e-nadan
aashiq ko bulate hain wo parwana samajh kar
gardish meri qismat ki tujhe chain na degi
ai charKH mujhe pis na tu dana samajh kar
allah re tajahul mujhe dekha jo sar-e-bazm
munh pher liya yar ne begana samajh kar
aane ko to aae wo mere KHana-e-dil mein
dam bhar bhi na Thahre yahan virana samajh kar
kis darja ta'alluq hai mere dil ko buton se
kaba mein bhi jata hun to but-KHana samajh kar
dilchasp kuchh aisa hai ki dushman ki zaban se
sunte hain mera zikr wo afsana samajh kar
dete to ho dil us but-e-be-mehr-o-wafa ko
lekin zara ai 'sabir'-e-farzana samajh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.