masjid-o-mandir kalisa sab mein jaana chahiye
masjid-o-mandir kalīsā sab meñ jaanā chāhiye
dar kahīñ kā ho muqaddar āzmānā chāhiye
mujh ko rone do mujhe rone meñ miltā hai mazā
muskurāo tum ki tum ko muskurānā chāhiye
ḳhatm par merā safar hai Dagmagāte haiñ qadam
aage baḌh kar un ko merā dil baḌhānā chāhiye
zindagī bhar chal ke ham aa.e haiñ manzil ke qarīb
do-qadam ab chal ke manzil ko bhī aanā chāhiye
hosh aayā zindagī kā baar uThā lene ke ba.ad
bojh jitnā uTh sake utnā uThānā chāhiye
rakh diyā ik din maiñ jis ghar ko khañDar kar ke 'nazīr'
us ko banñe ke liye ab ik zamāna chāhiye
masjid-o-mandir kalisa sab mein jaana chahiye
dar kahin ka ho muqaddar aazmana chahiye
mujh ko rone do mujhe rone mein milta hai maza
muskurao tum ki tum ko muskurana chahiye
KHatm par mera safar hai Dagmagate hain qadam
aage baDh kar un ko mera dil baDhana chahiye
zindagi bhar chal ke hum aae hain manzil ke qarib
do-qadam ab chal ke manzil ko bhi aana chahiye
hosh aaya zindagi ka bar uTha lene ke baad
bojh jitna uTh sake utna uThana chahiye
rakh diya ek din main jis ghar ko khanDar kar ke 'nazir'
us ko banne ke liye ab ek zamana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.