masjidon mein bhi wahi hai jo sanam-KHanon mein
masjidoñ meñ bhī vahī hai jo sanam-ḳhānoñ meñ
naam us shoḳh kā rusvā huā insānoñ meñ
raat ghultī hī ga.ī zulf mahaktī hī rahī
yuuñ hī Dhaltī thī sahar aish ke paimānoñ meñ
aaj vo qadr-e-junūñ hai nā taqāzā-e-jamāl
kitnī badlī hai shab-e-māh shabistānoñ meñ
ab kise yaad dilā.eñ tire āñchal kī namī
ik gavāhī thī vahī ishq ke paimānoñ meñ
maslahat naaz tajāhul ġhazab ehsās shu.ūr
rang bharte rahe 'saifī' mire afsānoñ meñ
masjidon mein bhi wahi hai jo sanam-KHanon mein
nam us shoKH ka ruswa hua insanon mein
raat ghulti hi gai zulf mahakti hi rahi
yun hi Dhalti thi sahar aish ke paimanon mein
aaj wo qadr-e-junun hai na taqaza-e-jamal
kitni badli hai shab-e-mah shabistanon mein
ab kise yaad dilaen tere aanchal ki nami
ek gawahi thi wahi ishq ke paimanon mein
maslahat naz tajahul ghazab ehsas shuur
rang bharte rahe 'saifi' mere afsanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.