maslahat ka chaar-su tezab hai
maslahat kā chār-sū tezāb hai
kaun kis ke vāste betāb hai
aap ulfat se koī sairāb hai
aur koī māhī-e-be-āb hai
chashm-e-qātil aaj jo pur-āb hai
vo merī tahzīb kā ik baab hai
tāq-e-nisyāñ par dharī haiñ ḳhvāhisheñ
dil kalām-e-pāk kī mehrāb hai
mauj-e-ġham pahuñcheñ-gī un tak bil-yaqīñ
ġham ke dariyā meñ agar sailāb hai
hijr meñ bhī hai vafā kī raushnī
ābrū-e-ġham hai ruḳh pur-āb hai
chāñdnī se us kī raushan roz-o-shab
āsmān-e-dil kā jo mahtāb hai
tishnagī ke ḳhuun ne sīñchā use
gulshan-e-dīñ dā.imī shādāb hai
zaat kā jhagḌā jahāñ se miT gayā
jāgtī āñkhoñ kā 'maḳhfī' ḳhvāb hai
maslahat ka chaar-su tezab hai
kaun kis ke waste betab hai
aap ulfat se koi sairab hai
aur koi mahi-e-be-ab hai
chashm-e-qatil aaj jo pur-ab hai
wo meri tahzib ka ek bab hai
taq-e-nisyan par dhari hain KHwahishen
dil kalam-e-pak ki mehrab hai
mauj-e-gham pahunchen-gi un tak bil-yaqin
gham ke dariya mein agar sailab hai
hijr mein bhi hai wafa ki raushni
aabru-e-gham hai ruKH pur-ab hai
chandni se us ki raushan roz-o-shab
aasman-e-dil ka jo mahtab hai
tishnagi ke KHun ne sincha use
gulshan-e-din daimi shadab hai
zat ka jhagDa jahan se miT gaya
jagti aankhon ka 'maKHfi' KHwab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.