maslahat-KHu kab hua hai aaina
maslahat-ḳhū kab huā hai aa.ina
sach hī sach bas boltā hai aa.ina
aaj mere dostoñ kī ḳhair ho
be-tarah mujh par miTā hai aa.ina
ek chaukīdār hai apnā zamīr
ik nigahbāñ ban gayā hai aa.ina
āshnā sīrat kī ḳhushbū se nahīñ
husn-e-zāhir par fidā hai aa.ina
ḳhud-pasandī is qadar achchhī nahīñ
sāmne har dam dharā hai aa.ina
badlā mausam mere chehre kā magar
phuul ban kar khil gayā hai aa.ina
tum se jab tark-e-ta.alluq kar liyā
dil to dil mujh se ḳhafā hai aa.ina
mujh se sargoshī sī kar ke kaan meñ
mahv-e-hairat kar gayā hai aa.ina
kis tarah kar luuñ haqīqat meñ qubūl
ik ḳhalish sī de gayā hai ā.īna
jab bhī dekhūñ rū-ba-rū hai koī aur
jaise sāzish kar rahā hai aa.ina
baat dil kī ġhaur se suntā hai ye
rāzdāñ merā banā hai aa.ina
TuuT kar 'rūmī' vo sālim hī rahā
mujh ko TukḌe kar gayā hai aa.ina
maslahat-KHu kab hua hai aaina
sach hi sach bas bolta hai aaina
aaj mere doston ki KHair ho
be-tarah mujh par miTa hai aaina
ek chaukidar hai apna zamir
ek nigahban ban gaya hai aaina
aashna sirat ki KHushbu se nahin
husn-e-zahir par fida hai aaina
KHud-pasandi is qadar achchhi nahin
samne har dam dhara hai aaina
badla mausam mere chehre ka magar
phul ban kar khil gaya hai aaina
tum se jab tark-e-talluq kar liya
dil to dil mujh se KHafa hai aaina
mujh se sargoshi si kar ke kan mein
mahw-e-hairat kar gaya hai aaina
kis tarah kar lun haqiqat mein qubul
ek KHalish si de gaya hai aaina
jab bhi dekhun ru-ba-ru hai koi aur
jaise sazish kar raha hai aaina
baat dil ki ghaur se sunta hai ye
raazdan mera bana hai aaina
TuT kar 'rumi' wo salim hi raha
mujh ko TukDe kar gaya hai aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.