masruf hue itne is aalam-e-fani mein
masrūf hue itne is ālam-e-fānī meñ
ham hī na nazar aa.e ḳhud apnī kahānī meñ
gulshan ke nigahbāno ham ko na bhulā denā
kuchh ḳhaar bhī lāzim haiñ phūloñ kī kahānī meñ
ai dīda-e-tar tujh ko ma.alūm nahīñ shāyad
bah jaate haiñ ḳhvāb aksar ashkoñ kī ravānī meñ
ab vo bhī kisī ghar kī dīvār kā hissa haiñ
buniyād ke patthar jo baaqī the nishānī meñ
kuchh zehn meñ hotā hai aatā hai zabāñ par kuchh
kah jaate haiñ jaane kyā ham yuuñ hī ravānī meñ
kab raat guzartī hai kab din nikal aatā hai
kuchh hosh nahīñ rahtā 'zīshān' javānī meñ
masruf hue itne is aalam-e-fani mein
hum hi na nazar aae KHud apni kahani mein
gulshan ke nigahbano hum ko na bhula dena
kuchh KHar bhi lazim hain phulon ki kahani mein
ai dida-e-tar tujh ko malum nahin shayad
bah jate hain KHwab aksar ashkon ki rawani mein
ab wo bhi kisi ghar ki diwar ka hissa hain
buniyaad ke patthar jo baqi the nishani mein
kuchh zehn mein hota hai aata hai zaban par kuchh
kah jate hain jaane kya hum yun hi rawani mein
kab raat guzarti hai kab din nikal aata hai
kuchh hosh nahin rahta 'zishan' jawani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.