masrufiyat mein aaj bhi guzra tamam din
masrūfiyat meñ aaj bhī guzrā tamām din
rahnā paḌā hujūm meñ tanhā tamām din
kahne ko ek bhiiḌ sī maujūd thī vahāñ
lekin thā saath bas mirā saayā tamām din
tark-e-vafā ke baad pashemāñ sī vo nazar
bhūlā tamām raat na bhūlā tamām din
milne kā tum ne aaj kahā thā mujhe magar
sūraj to aaj bhī nahīñ niklā tamām din
vo jā rahā thā Dhalte hue saa.e kī tarah
chāhā to maiñ ne thā ki vo rahtā tamām din
thoḌā sā raushnī ko añdherā bhī chāhiye
dekho sitāra koī na chamkā tamām din
'ādil' maiñ raat bhar to pareshāñ rahā magar
raushan hue darīchoñ meñ ghūmā tamām din
masrufiyat mein aaj bhi guzra tamam din
rahna paDa hujum mein tanha tamam din
kahne ko ek bhiD si maujud thi wahan
lekin tha sath bas mera saya tamam din
tark-e-wafa ke baad pasheman si wo nazar
bhula tamam raat na bhula tamam din
milne ka tum ne aaj kaha tha mujhe magar
suraj to aaj bhi nahin nikla tamam din
wo ja raha tha Dhalte hue sae ki tarah
chaha to main ne tha ki wo rahta tamam din
thoDa sa raushni ko andhera bhi chahiye
dekho sitara koi na chamka tamam din
'adil' main raat bhar to pareshan raha magar
raushan hue darichon mein ghuma tamam din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.