Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mast-e-sharab-e-naz par shikwe ka kuchh asar nahin

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

mast-e-sharab-e-naz par shikwe ka kuchh asar nahin

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    mast-e-sharāb-e-nāz par shikve kuchh asar nahīñ

    merī ḳhabar ho kyā unheñ apnī jinheñ ḳhabar nahīñ

    gardish-e-rozgār se ḳhauf mujhe huā kab

    sail-e-alam se bah sake pahlū meñ vo jigar nahīñ

    god meñ hādsāt ke pal ke maiñ javāñ huā

    vo nahīñ zindagī qubūl jis meñ koī ḳhatar nahīñ

    manzil-e-ishq meñ mujhe aa.e to saḳht marhale

    baḌhnā nahīñ hai sahl agar ruknā bhī sahl-tar nahīñ

    maiñ huuñ yahāñ bhī be-qarār thā maiñ vahāñ bhī be-qarār

    dil davā udhar na thī dil davā idhar nahīñ

    ghir ke ghaTā uThī abhī chhaT bhī ga.ī abhī 'habīb'

    merī shab-e-firāq dahr meñ kyā sahar nahīñ

    mast-e-sharab-e-naz par shikwe ka kuchh asar nahin

    meri KHabar ho kya unhen apni jinhen KHabar nahin

    gardish-e-rozgar se KHauf mujhe hua hi kab

    sail-e-alam se bah sake pahlu mein wo jigar nahin

    god mein hadsat ke pal ke hi main jawan hua

    wo nahin zindagi qubul jis mein koi KHatar nahin

    manzil-e-ishq mein mujhe aae to saKHt marhale

    baDhna nahin hai sahl agar rukna bhi sahl-tar nahin

    main hun yahan bhi be-qarar tha main wahan bhi be-qarar

    dil ki dawa udhar na thi dil ki dawa idhar nahin

    ghir ke ghaTa uThi abhi chhaT bhi gai abhi 'habib'

    meri shab-e-firaq ki dahr mein kya sahar nahin

    Source :
    • Book : نغمۂ زندگی (Pg. 62)
    • Author : جے کرشن چودھری حبیب
    • Publication : جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now