mast hun muttaqi nahin hun main
mast huuñ muttaqī nahīñ huuñ maiñ
kaam kā aadmī nahīñ huuñ maiñ
mujh ko duniyā kī fikr lāhaq hai
ya.anī koī valī nahīñ huuñ maiñ
tere me.aar kā to duur kī baat
tere matlab kā bhī nahīñ huuñ maiñ
maz.hab-e-ishq kā payambar huuñ
haañ magar āḳhirī nahīñ huuñ maiñ
Dar nahīñ paas aa mire pyāre
nuur huuñ raushnī nahīñ huuñ maiñ
muqtadā huuñ maiñ roz-e-avval se
kāfirā! muqtadī nahīñ huuñ maiñ
aam se kūza-gar kā beTā huuñ
gaañv kā chaudharī nahīñ huuñ maiñ
mujh pe thoḌā sā ġhaur kar 'tahsīn'
huuñ to phir aarzī nahīñ huuñ maiñ
mast hun muttaqi nahin hun main
kaam ka aadmi nahin hun main
mujh ko duniya ki fikr lahaq hai
yani koi wali nahin hun main
tere mear ka to dur ki baat
tere matlab ka bhi nahin hun main
mazhab-e-ishq ka payambar hun
han magar aaKHiri nahin hun main
Dar nahin pas aa mere pyare
nur hun raushni nahin hun main
muqtada hun main roz-e-awwal se
kafira! muqtadi nahin hun main
aam se kuza-gar ka beTa hun
ganw ka chaudhari nahin hun main
mujh pe thoDa sa ghaur kar 'tahsin'
hun to phir aarzi nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.