mast uDte parindon ko aawaz mat do ki Dar jaenge
mast uDte parindon ko aawaz mat do ki Dar jaenge
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
mast uḌte parindoñ ko āvāz mat do ki Dar jā.eñge
aan kī aan meñ saare aurāq-e-manzar bikhar jā.eñge
shaam chāñdī sī ik yaad palkoñ pe rakh kar chalī jā.egī
aur ham raushnī raushnī apne andar utar jā.eñge
kaun haiñ kis jagah haiñ ki TuuTā hai jin ke safar kā nasha
ek Duubī sī āvāz aatī hai paiham ki ghar jā.eñge
ai sitāro tumheñ apnī jānib se shāyad na kuchh de sakeñ
ham magar rāstoñ meñ rakhe sab charāġhoñ ko bhar jā.eñge
vaqt meñ ik jagah sī banāte hue tiira lamhe yahī
koī andhī kahānī mire dil pe tahrīr kar jā.eñge
ham ne samjhā thā mausam kī be-rahmiyoñ ko bhī aisā kahāñ
is tarah barf girtī rahegī ki dariyā Thahar jā.eñge
aaj aayā hai ik umr kī furqatoñ meñ ajab dhyān sā
yuuñ farāmoshiyāñ kaam kar jā.eñgī zaḳhm bhar jā.eñge
mast uDte parindon ko aawaz mat do ki Dar jaenge
aan ki aan mein sare auraq-e-manzar bikhar jaenge
sham chandi si ek yaad palkon pe rakh kar chali jaegi
aur hum raushni raushni apne andar utar jaenge
kaun hain kis jagah hain ki TuTa hai jin ke safar ka nasha
ek Dubi si aawaz aati hai paiham ki ghar jaenge
ai sitaro tumhein apni jaanib se shayad na kuchh de saken
hum magar raston mein rakhe sab charaghon ko bhar jaenge
waqt mein ek jagah si banate hue tera lamhe yahi
koi andhi kahani mere dil pe tahrir kar jaenge
hum ne samjha tha mausam ki be-rahmiyon ko bhi aisa kahan
is tarah barf girti rahegi ki dariya Thahar jaenge
aaj aaya hai ek umr ki furqaton mein ajab dhyan sa
yun faramoshiyan kaam kar jaengi zaKHm bhar jaenge
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 189)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.