masti hai kaifiyat hai nasha hai sharab hai
mastī hai kaifiyat hai nasha hai sharāb hai
terī nigāh bāda-kadoñ kā javāb hai
terī nazar kā kaif sharāboñ kī aarzū
tere laboñ kā rang gulāboñ kā ḳhvāb hai
ai dost aaj mil ki hai dil saḳht garm-josh
ai dost aaj aa ki nazar pur-shabāb hai
vājib sahī tilāvat-e-jām-o-nigār-o-gul
dil ko bhī paḌh ki ye bhī muqaddas kitāb hai
aaya hadīs-e-dil meñ tirī zaat kā bayān
is ko sunā yahāñ se ye dilchasp baab hai
har chiiz par jo aaj musallat hai be-hisī
'shaukat' zamāna muntazir-e-inqalāb hai
masti hai kaifiyat hai nasha hai sharab hai
teri nigah baada-kadon ka jawab hai
teri nazar ka kaif sharabon ki aarzu
tere labon ka rang gulabon ka KHwab hai
ai dost aaj mil ki hai dil saKHt garm-josh
ai dost aaj aa ki nazar pur-shabab hai
wajib sahi tilawat-e-jam-o-nigar-o-gul
dil ko bhi paDh ki ye bhi muqaddas kitab hai
aaya hadis-e-dil mein teri zat ka bayan
is ko suna yahan se ye dilchasp bab hai
har chiz par jo aaj musallat hai be-hisi
'shaukat' zamana muntazir-e-inqalab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.