masti mein bhi KHayal-e-hudud-e-adab raha
mastī meñ bhī ḳhayāl-e-hudūd-e-adab rahā
ashkoñ meñ haal arz kiyā basta-lab rahā
tere karam ne mujh ko atā kī vo be-ḳhudī
arz-e-sipās kā mujhe phir hosh kab rahā
tū ne jo kuchh diyā vo diyā lutf-e-ḳhās se
pāband-e-āstīñ mirā dast-e-talab rahā
us bazm meñ nigāh pe qaabū na rakh sakā
haañ mujh ko e'tirāf hai maiñ be-adab rahā
daur-e-amal meñ ham se to kuchh bhī na ho sakā
itnā huā ki shohra-e-bazm-e-adab rahā
jām-e-tahī milā tirī mahfil se kyā huā
paimāna dil ke ḳhuuñ se yahāñ lab-ba-lab rahā
'fitrat' rumūz-e-ishq na kah girya-kosh rah
sab kuchh kahā usī ne jo yaañ basta-lab rahā
masti mein bhi KHayal-e-hudud-e-adab raha
ashkon mein haal arz kiya basta-lab raha
tere karam ne mujh ko ata ki wo be-KHudi
arz-e-sipas ka mujhe phir hosh kab raha
tu ne jo kuchh diya wo diya lutf-e-KHas se
paband-e-astin mera dast-e-talab raha
us bazm mein nigah pe qabu na rakh saka
han mujh ko e'tiraf hai main be-adab raha
daur-e-amal mein hum se to kuchh bhi na ho saka
itna hua ki shohra-e-bazm-e-adab raha
jam-e-tahi mila teri mahfil se kya hua
paimana dil ke KHun se yahan lab-ba-lab raha
'fitrat' rumuz-e-ishq na kah girya-kosh rah
sab kuchh kaha usi ne jo yan basta-lab raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.