mat baDhao baat ko tum mat karo be-baat bahs
mat baḌhāo baat ko tum mat karo be-bāt bahs
ḳhatm kar detī hai aksar pyaar ke jazbāt bahs
lā-ta’alluq hī samajh leñ yā ki samjheñ hosh-mand
chup rahe ham jab chhiḌī yāroñ meñ koī raat bahs
kyoñ nahīñ phir hogī sunvā.ī ġharīboñ kī ye soch
gar kareñge khul ke un par aur aḳhbārāt bahs
aise toḌā tum ne rishta baat bhī ab hai fuzūl
kyā mujhe lauTā sakegī vo mire lamhāt bahs
kah diyā hai tū ne jo hai aadmī achchhā 'sujīt'
yaar sab tere kareñge us pe ab din raat bahs
mat baDhao baat ko tum mat karo be-baat bahs
KHatm kar deti hai aksar pyar ke jazbaat bahs
la-ta’alluq hi samajh len ya ki samjhen hosh-mand
chup rahe hum jab chhiDi yaron mein koi raat bahs
kyon nahin phir hogi sunwai gharibon ki ye soch
gar karenge khul ke un par aur aKHbaraat bahs
aise toDa tum ne rishta baat bhi ab hai fuzul
kya mujhe lauTa sakegi wo mere lamhat bahs
kah diya hai tu ne jo hai aadmi achchha 'sujit'
yar sab tere karenge us pe ab din raat bahs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.