mat baiTh waqt-e-naza tu yan ai hasin bahut
mat baiTh vaqt-e-naz.a tū yaañ ai hasīñ bahut
ulfat na kar tū aah dam-e-vāpsīñ bahut
ye sach kare hai naaz har ik nāznīñ bahut
āshiq-kushī kā chaav pa dekhā yahīñ bahut
hotī hai us ke dekhte hālat mirī taġhīr
har chand maiñ sambhālūñ huuñ apne ta.iiñ bahut
ye kaun jaane jhuuT hai yā sach va-lek aaj
us kam-suḳhan ne pyaar kī bāteñ to kiiñ bahut
ushshāq hī ko ġham nahīñ ma.ashūq ko bhī hai
lekin ye farq hai kahīñ thoḌā kahīñ bahut
mat baiTh waqt-e-naza tu yan ai hasin bahut
ulfat na kar tu aah dam-e-wapsin bahut
ye sach kare hai naz har ek naznin bahut
aashiq-kushi ka chaw pa dekha yahin bahut
hoti hai us ke dekhte haalat meri taghir
har chand main sambhaalun hun apne tain bahut
ye kaun jaane jhuT hai ya sach wa-lek aaj
us kam-suKHan ne pyar ki baaten to kin bahut
ushshaq hi ko gham nahin mashuq ko bhi hai
lekin ye farq hai kahin thoDa kahin bahut
- Book : Ghazal Usne Chhedi(2) (Pg. 28)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.