mat kisi ki be-ruKHi par ghaur kar
mat kisī kī be-ruḳhī par ġhaur kar
pahle tū apnī kamī par ġhaur kar
muflis-o-nādār par bhī ye sitam
kuchh to us kī bekasī par ġhaur kar
mil ga.ī manzil use fil-faur hī
us muqaddar ke dhanī par ġhaur kar
aa rahā hai vo samundar se magar
jāñ-ba-lab hai tishnagī par ġhaur kar
hai baḌī kamzor Dorī ziist kī
chaar din kī chāñdnī par ġhaur kar
manzil-e-maqsūd paanā hai agar
āj-kal kī rahbarī par ġhaur kar
tīrgī-e-jehl chhañT jaa.e abhī
ilm kī tū raushnī par ġhaur kar
tujh ko buddhū kah rahe haiñ log sab
kuchh to apnī sādgī par ġhaur kar
ho rahe haiñ hādse 'tāriq' miyāñ
ziist kī nā-puḳhtagī par ġhaur kar
mat kisi ki be-ruKHi par ghaur kar
pahle tu apni kami par ghaur kar
muflis-o-nadar par bhi ye sitam
kuchh to us ki bekasi par ghaur kar
mil gai manzil use fil-faur hi
us muqaddar ke dhani par ghaur kar
aa raha hai wo samundar se magar
jaan-ba-lab hai tishnagi par ghaur kar
hai baDi kamzor Dori zist ki
chaar din ki chandni par ghaur kar
manzil-e-maqsud pana hai agar
aaj-kal ki rahbari par ghaur kar
tirgi-e-jehl chhanT jae abhi
ilm ki tu raushni par ghaur kar
tujh ko buddhu kah rahe hain log sab
kuchh to apni sadgi par ghaur kar
ho rahe hain hadse 'tariq' miyan
zist ki na-puKHtagi par ghaur kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.