mat puchh ki ulfat mein jafa kaun karega
mat pūchh ki ulfat meñ jafā kaun karegā
ye kaam bhī apnoñ ke sivā kaun karegā
baḳhshā na gayā tujh ko agar soz-e-mohabbat
ā.īna-e-dil tujh pe jilā kaun karegā
mahkā na agar gul to phir ai bulbul-e-betāb
gulshan meñ tujhe naġhma-sarā kaun karegā
tā'mīr to ho sakte haiñ kuchh dār-o-rasan aur
hastī ko mohabbat meñ fanā kaun karegā
sar le ke hathelī pe na ghūmeñge kabhī ham
par shart hai takmīl-e-vafā kaun karegā
us moḌ pe ham sab haiñ jahāñ ḳhud kā nahīñ hosh
khoī huī manzil kā pata kaun karegā
ham hī na hue 'shauq' to ḳhuuñ de ke jigar kā
phir tez tirā rang-e-hinā kaun karegā
mat puchh ki ulfat mein jafa kaun karega
ye kaam bhi apnon ke siwa kaun karega
baKHsha na gaya tujh ko agar soz-e-mohabbat
aaina-e-dil tujh pe jila kaun karega
mahka na agar gul to phir ai bulbul-e-betab
gulshan mein tujhe naghma-sara kaun karega
ta'mir to ho sakte hain kuchh dar-o-rasan aur
hasti ko mohabbat mein fana kaun karega
sar le ke hatheli pe na ghumenge kabhi hum
par shart hai takmil-e-wafa kaun karega
us moD pe hum sab hain jahan KHud ka nahin hosh
khoi hui manzil ka pata kaun karega
hum hi na hue 'shauq' to KHun de ke jigar ka
phir tez tera rang-e-hina kaun karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.